aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taron se mera jam bharo main nashe mein hun

Saghar Siddiqui

taron se mera jam bharo main nashe mein hun

Saghar Siddiqui

MORE BYSaghar Siddiqui

    tāroñ se merā jaam bharo maiñ nashe meñ huuñ

    ai sākinān-e-ḳhuld suno maiñ nashe meñ huuñ

    kuchh phuul khil rahe haiñ sar-e-shāḳh-e-mai-kada

    tum zarā ye phuul chuno maiñ nashe meñ huuñ

    Thahro abhī to sub.h maarā hai zau-fishāñ

    dekho mujhe fareb na do maiñ nashe meñ huuñ

    nashsha to maut hai ġham-e-hastī dhuup meñ

    bikhrā ke zulf saath chalo maiñ nashe meñ huuñ

    mela yuuñ rahe ye sar-e-rahguzār-e-zīst

    ab jaam sāmne rakho maiñ nashe meñ huuñ

    paa.el chhanak rahī hai nigār-e-ḳhayāl

    kuchh ehtimām-e-raqs karo maiñ nashe meñ huuñ

    maiñ Dagmagā rahā huuñ bayābān-e-hosh meñ

    mere abhī qarīb raho maiñ nashe meñ huuñ

    hai sirf ik tabassum-e-rañgīñ bahut mujhe

    'sāġhar' ba-dosh lāla-ruḳho maiñ nashe meñ huuñ

    taron se mera jam bharo main nashe mein hun

    ai sakinan-e-KHuld suno main nashe mein hun

    kuchh phul khil rahe hain sar-e-shaKH-e-mai-kada

    tum hi zara ye phul chuno main nashe mein hun

    Thahro abhi to subh ka mara hai zau-fishan

    dekho mujhe fareb na do main nashe mein hun

    nashsha to maut hai gham-e-hasti ki dhup mein

    bikhra ke zulf sath chalo main nashe mein hun

    mela yun hi rahe ye sar-e-rahguzar-e-zist

    ab jam samne hi rakho main nashe mein hun

    pael chhanak rahi hai nigar-e-KHayal ki

    kuchh ehtimam-e-raqs karo main nashe mein hun

    main Dagmaga raha hun bayaban-e-hosh mein

    mere abhi qarib raho main nashe mein hun

    hai sirf ek tabassum-e-rangin bahut mujhe

    'saghar' ba-dosh lala-ruKHo main nashe mein hun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    taron se mera jam bharo main nashe mein hun Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now