Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main agar kar dun raqam josh-e-junun kaghaz par

Nitin Nayab

main agar kar dun raqam josh-e-junun kaghaz par

Nitin Nayab

MORE BYNitin Nayab

    maiñ agar kar duuñ raqam josh-e-junūñ kāġhaz par

    lafz ban ban ke Dhale dil ye ḳhuuñ kāġhaz par

    kyā ḳhabar kaun se harfoñ ko milāte hoñge

    kabhī likkhā nahīñ ham ne sukūñ kāġhaz par

    tai-shuda hai tamām-umr badan uTh na sake

    maiñ kabhī likh duuñ agar sar ko nigūñ kāġhaz par

    TuuT ke phir to adū ke kahīñ kaam aate haiñ

    jab bhī chaltā hai mohabbat fusūñ kāġhaz par

    us ne jab bāġh-e-nihāñ ko nihāñ rakkhā gulzār

    ham ne bhī sabz rakhā dasht-e-darūñ kāġhaz par

    mujh se barham hai falak itnī ḳhvāhish pe mirī

    toḌ kar ek sitāre ko rakhūñ kāġhaz par

    ab yahī kaam hai tasvīr-numā.ī terī

    aur phir pahroñ tujhe taktā rahūñ kāġhaz par

    jū-e-ḳhūñ āñkhoñ talak aane lagī thī so mujhe

    kaaT kar rakhnā paḌā zaḳhm-e-darūñ kāġhaz par

    kuchh haqīqat ke bhī lafzoñ ko jagah do 'nāyāb'

    likhte rahte ho bhalā karb kyuuñ kāġhaz par

    main agar kar dun raqam josh-e-junun kaghaz par

    lafz ban ban ke Dhale dil ka ye KHun kaghaz par

    kya KHabar kaun se harfon ko milate honge

    kabhi likkha hi nahin hum ne sukun kaghaz par

    tai-shuda hai ki tamam-umr badan uTh na sake

    main kabhi likh dun agar sar ko nigun kaghaz par

    TuT ke phir to adu ke kahin kaam aate hain

    jab bhi chalta hai mohabbat ka fusun kaghaz par

    us ne jab bagh-e-nihan ko nihan rakkha gulzar

    hum ne bhi sabz rakha dasht-e-darun kaghaz par

    mujh se barham hai falak itni si KHwahish pe meri

    toD kar ek sitare ko rakhun kaghaz par

    ab yahi kaam hai taswir-numai teri

    aur phir pahron tujhe takta rahun kaghaz par

    ju-e-KHun aankhon talak aane lagi thi so mujhe

    kaT kar rakhna paDa zaKHm-e-darun kaghaz par

    kuchh haqiqat ke bhi lafzon ko jagah do 'nayab'

    likhte rahte ho bhala karb hi kyun kaghaz par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now