Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main ahl-e-zar bhi nahin ahl-e-saltanat bhi nahin

Ibrahim Noori

main ahl-e-zar bhi nahin ahl-e-saltanat bhi nahin

Ibrahim Noori

MORE BYIbrahim Noori

    maiñ ahl-e-zar bhī nahīñ ahl-e-saltanat bhī nahīñ

    so merā koī ḳhabar-gīr-e-ḳhairiyat bhī nahīñ

    zamīn kyoñ mujhe chashm-e-hasad se dekhtī hai

    agarche maiñ koī shaḳhs-e-falak-sifat bhī nahīñ

    kisī ne phir mire jazboñ aaj ḳhuun kiyā

    baḌā ajiib huuñ maiñ tālib-e-diyat bhī nahīñ

    ai saada lauh yaañ kāmyāb na.iiñ hogā

    tire vajūd meñ thoḌī munāfiqat bhī nahīñ

    mujhe kisī zarūrat nahīñ shumārish ko

    ki āstīn ke ye saañp anginat bhī nahīñ

    vo dars dene lagā hai ḳhudā-shanāsī

    ḳhudā to duur jise apnī ma.arifat bhī nahīñ

    parā.e des meñ aa kar panāh maiñ ne

    ki mere des meñ thoḌī amniyat bhī nahīñ

    yaqīn kaise karūñ ḳhat ye ne bhejā hai

    ki is pe muhr bhī aur terā dastaḳhat bhī nahīñ

    ḳhud us ke bachche bhī karte nahīñ salām use

    ġharīb baap ab itnī haisiyat bhī nahīñ

    maiñ kaise maan luuñ ye terā aks hai jānam

    ki us tujh se zarā mushābahat bhī nahīñ

    hamāre jiite ġhairoñ se rasm-o-rāh na rakh

    hamāre dil meñ ye ġham Dhone sakat bhī nahīñ

    hamesha us ko manāne meñ pahl karte ho

    so us yūñhī ḳhafā honā kuchh ġhalat bhī nahīñ

    luTā chukā huuñ maiñ sab kuchh rah-e-mohabbat meñ

    ki farsh paañv tale aur sar pe chhat bhī nahīñ

    mirī likhī huiiñ ġhazleñ paḌhe to kaun paḌhe

    ab is qadar bhī hasīñ 'nūrī' likhat bhī nahīñ

    main ahl-e-zar bhi nahin ahl-e-saltanat bhi nahin

    so mera koi KHabar-gir-e-KHairiyat bhi nahin

    zamin kyon mujhe chashm-e-hasad se dekhti hai

    agarche main koi shaKHs-e-falak-sifat bhi nahin

    kisi ne phir mere jazbon ka aaj KHun kiya

    baDa ajib hun main talib-e-diyat bhi nahin

    ai sada lauh tu yan kaamyab nain hoga

    tere wajud mein thoDi munafiqat bhi nahin

    mujhe kisi ki zarurat nahin shumarish ko

    ki aastin ke ye sanp anginat bhi nahin

    wo dars dene laga hai KHuda-shanasi ka

    KHuda to dur jise apni marifat bhi nahin

    parae des mein aa kar panah li main ne

    ki mere des mein thoDi si amniyat bhi nahin

    yaqin kaise karun KHat ye tu ne bheja hai

    ki is pe muhr bhi aur tera dastaKHat bhi nahin

    KHud us ke bachche bhi karte nahin salam use

    gharib bap ki ab itni haisiyat bhi nahin

    main kaise man lun ye tera aks hai jaanam

    ki us ki tujh se zara si mushabahat bhi nahin

    hamare jite ji ghairon se rasm-o-rah na rakh

    hamare dil mein ye gham Dhone ki sakat bhi nahin

    hamesha us ko manane mein pahl karte ho

    so us ka yunhi KHafa hona kuchh ghalat bhi nahin

    luTa chuka hun main sab kuchh rah-e-mohabbat mein

    ki farsh panw tale aur sar pe chhat bhi nahin

    meri likhi huin ghazlen paDhe to kaun paDhe

    ab is qadar bhi hasin 'nuri' ki likhat bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now