Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main apne KHwab se bichhDa nazar nahin aata

Waseem Barelvi

main apne KHwab se bichhDa nazar nahin aata

Waseem Barelvi

MORE BYWaseem Barelvi

    maiñ apne ḳhvāb se bichhḌā nazar nahīñ aatā

    to is sadī meñ akelā nazar nahīñ aatā

    ajab dabāo hai un bāharī havāoñ

    gharoñ bojh bhī uThtā nazar nahīñ aatā

    maiñ terī raah se ha.Tne ko haT gayā lekin

    mujhe to koī bhī rasta nazar nahīñ aatā

    maiñ ik sadā pe hamesha ko ghar to chhoḌ aayā

    magar pukārne vaalā nazar nahīñ aatā

    dhuāñ bharā hai yahāñ to sabhī āñkhoñ meñ

    kisī ko ghar mirā jaltā nazar nahīñ aatā

    ġhazal-sarā.ī da.avā to sab kare haiñ 'vasīm'

    magar vo 'mīr' lahja nazar nahīñ aatā

    main apne KHwab se bichhDa nazar nahin aata

    to is sadi mein akela nazar nahin aata

    ajab dabao hai un bahari hawaon ka

    gharon ka bojh bhi uThta nazar nahin aata

    main teri rah se haTne ko haT gaya lekin

    mujhe to koi bhi rasta nazar nahin aata

    main ek sada pe hamesha ko ghar to chhoD aaya

    magar pukarne wala nazar nahin aata

    dhuan bhara hai yahan to sabhi ki aankhon mein

    kisi ko ghar mera jalta nazar nahin aata

    ghazal-sarai ka dawa to sab kare hain 'wasim'

    magar wo 'mir' sa lahja nazar nahin aata

    Source:

    Mera Kiya (Pg. 98)

    • Author: Waseem Barelvi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Maktaba Jamia Ltd.
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now