Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main apne sath koi aisi chaal chal jaun

Nadeem Goyai

main apne sath koi aisi chaal chal jaun

Nadeem Goyai

MORE BYNadeem Goyai

    maiñ apne saath koī aisī chaal chal jā.ūñ

    har ik hisār se bachtā huā nikal jā.ūñ

    tamām samt havāo bikher do mujh ko

    simaTtī ret huuñ dīvār meñ na Dhal jā.ūñ

    kuchh aisā loch mire darmiyān paidā kar

    har ek choT pe ik geñd uchhal jā.ūñ

    kisī ke jism meñ paivast ho na jā.ūñ kahīñ

    maiñ kyuuñ na kāñch sab kirchiyāñ nigal jā.ūñ

    apnā bojh uThā merā e'tibār na kar

    na jaane barf sat.h se kab phisal jā.ūñ

    main apne sath koi aisi chaal chal jaun

    har ek hisar se bachta hua nikal jaun

    tamam samt hawao bikher do mujh ko

    simaTti ret hun diwar mein na Dhal jaun

    kuchh aisa loch mere darmiyan paida kar

    har ek choT pe ek gend sa uchhal jaun

    kisi ke jism mein paiwast ho na jaun kahin

    main kyun na kanch ki sab kirchiyan nigal jaun

    tu apna bojh uTha mera e'tibar na kar

    na jaane barf ki sath se kab phisal jaun

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-064) (Pg. ebook-49 page-47)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now