Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main apne taur pe khela tha aabginon se

Kazim Husain Kazim

main apne taur pe khela tha aabginon se

Kazim Husain Kazim

MORE BYKazim Husain Kazim

    maiñ apne taur pe khelā thā ābgīnoñ se

    milā huuñ yāroñ ko taht-us-surā ke zīnoñ se

    maiñ aise shaḳhs taqlīd karnā chāhtā huuñ

    jo saañs letā rahā dostoñ ke sīnoñ se

    gumāñ guzartā hai duniyā tez-gāmī se

    ki log ḳhvāb bhī dekheñge dūr-bīnoñ se

    ye tajraba hai mirā sarsarī baat nahīñ

    koī bhī nukta milegā na nukta-chīnoñ se

    hamārī āñkhoñ se aañsū gire nadāmat ke

    hai diin phuuT paḌā kufr zamīnoñ se

    salāmī hai ye andāz jāntā huuñ magar

    bahut se haath haiñ Tāñke ga.e jabīnoñ se

    mizāj-e-vaqt moharram safar pe baat kareñ

    sadī karb to mansūb hai mahīnoñ se

    ye ālamīn tartīb ulaT jaa.e

    nikālā jaa.e madīna agar madīnoñ se

    maiñ us dayār miTTī ko nuur jāntā huuñ

    jahāñ pe barchhiyāñ toḌī ga.ī thī sīnoñ se

    ye shaam jhiil shafaq mo'atabar haiñ apnī jagah

    mirā mizāj zarā muḳhtalif hai tīnoñ se

    sharāfatoñ meñ vo yūsuf-mizāj hote haiñ

    tumheñ milā.ūñgā ġhurbat-zada hasīnoñ se

    maiñ sīdhī baat aadī huuñ saañp kyuuñ bolūñ

    maiñ apne yaar nikālūñgā āstīnoñ se

    main apne taur pe khela tha aabginon se

    mila hun yaron ko taht-us-sura ke zinon se

    main aise shaKHs ki taqlid karna chahta hun

    jo sans leta raha doston ke sinon se

    guman guzarta hai duniya ki tez-gami se

    ki log KHwab bhi dekhenge dur-binon se

    ye tajraba hai mera sarsari si baat nahin

    koi bhi nukta milega na nukta-chinon se

    hamari aankhon se aansu gire nadamat ke

    hai din phuT paDa kufr ki zaminon se

    salami ka hai ye andaz jaanta hun magar

    bahut se hath hain Tanke gae jabinon se

    mizaj-e-waqt moharram safar pe baat karen

    sadi ka karb to mansub hai mahinon se

    ye aalamin ki tartib hi ulaT jae

    nikala jae madina agar madinon se

    main us dayar ki miTTi ko nur jaanta hun

    jahan pe barchhiyan toDi gai thi sinon se

    ye sham jhil shafaq mo'atabar hain apni jagah

    mera mizaj zara muKHtalif hai tinon se

    sharafaton mein wo yusuf-mizaj hote hain

    tumhein milaunga ghurbat-zada hasinon se

    main sidhi baat ka aadi hun sanp kyun bolun

    main apne yar nikalunga aastinon se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now