Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main apni wafaon ka bharam le ke chali hun

Erum  Zehra

main apni wafaon ka bharam le ke chali hun

Erum Zehra

MORE BYErum Zehra

    maiñ apnī vafāoñ bharam le ke chalī huuñ

    hāthoñ meñ mohabbat alam le ke chalī huuñ

    chalne nahīñ detī thī ik va.ade zanjīr

    mushkil thā magar bār-e-sitam le ke chalī huuñ

    kyā pūchhte ho mujh se mire zād-e-safar

    asbāb meñ bas yād-e-sanam le ke chalī huuñ

    jis shahr ke har moḌ pe kāñTe bichhe haiñ

    is shahr meñ bhī zaḳhmī qadam le ke chalī huuñ

    koī bhī safar maiñ ne adhūrā nahīñ chhoḌā

    chalnā hai to manzil qasam le ke chalī huuñ

    mujh ko hai yaqīñ harf hurmat pe hamesha

    tanhā thī magar apnā qalam le ke chalī huuñ

    ḳhush-baḳht hai vo jis ke muqaddar meñ 'iram' hai

    maiñ saath meñ ik bāġh-e-iram le ke chalī huuñ

    main apni wafaon ka bharam le ke chali hun

    hathon mein mohabbat ka alam le ke chali hun

    chalne hi nahin deti thi ek wade ki zanjir

    mushkil tha magar bar-e-sitam le ke chali hun

    kya puchhte ho mujh se mere zad-e-safar ka

    asbab mein bas yaad-e-sanam le ke chali hun

    jis shahr ke har moD pe kanTe hi bichhe hain

    is shahr mein bhi zaKHmi qadam le ke chali hun

    koi bhi safar main ne adhura nahin chhoDa

    chalna hai to manzil ki qasam le ke chali hun

    mujh ko hai yaqin harf ki hurmat pe hamesha

    tanha thi magar apna qalam le ke chali hun

    KHush-baKHt hai wo jis ke muqaddar mein 'iram' hai

    main sath mein ek bagh-e-iram le ke chali hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now