Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main baam-o-dar pe jo ab saen saen likhta hun

Tariq Jami

main baam-o-dar pe jo ab saen saen likhta hun

Tariq Jami

MORE BYTariq Jami

    maiñ bām-o-dar pe jo ab saa.eñ saa.eñ likhtā huuñ

    tamām shahr saḌkoñ raa.eñ likhtā huuñ

    tavīl galiyoñ meñ ḳhāmoshiyāñ ugī haiñ magar

    har ik darīche pe kar sadā.eñ likhtā huuñ

    safed dhuup ke tuude jan pe girte haiñ

    inhī udaas gharoñ kathā.eñ maiñ likhtā huuñ

    havā ke dosh pe raqsāñ nahīf pattoñ par

    badalte mausamoñ ittilā.eñ likhtā huuñ

    maiñ jhuñjhlāhaToñ par zabt kar nahīñ saktā

    saḌak pe chalte hue daa.eñ baa.eñ likhtā huuñ

    tire ḳhulūs ne mujh se vo dushmanī hai

    tire liye to maiñ ab bad-du'ā.eñ likhtā huuñ

    main baam-o-dar pe jo ab saen saen likhta hun

    tamam shahr ki saDkon ki raen likhta hun

    tawil galiyon mein KHamoshiyan ugi hain magar

    har ek dariche pe ja kar sadaen likhta hun

    safed dhup ke tude hi jan pe girte hain

    inhi udas gharon ki kathaen main likhta hun

    hawa ke dosh pe raqsan nahif patton par

    badalte mausamon ki ittilaen likhta hun

    main jhunjhlahaTon par zabt kar nahin sakta

    saDak pe chalte hue daen baen likhta hun

    tere KHulus ne mujh se wo dushmani ki hai

    tere liye to main ab bad-du'aen likhta hun

    Source:

    siip (Magzin) (Pg. 270)

    • Author: Nasiim Durraani
      • Edition:  39 (Quarterly)
      • Publisher: Fikr-e-Nau
      • Year of Publication:  39 (Quarterly)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now