main baat apne dil ki batane se rah gaya
maiñ baat apne dil kī batāne se rah gayā
manzil ke paas ho ke bhī paane se rah gayā
mahbūb apnā thā hī taġhāful kā 'illatī
so hāl-e-dil bhī dhyān meñ aane se rah gayā
kho baiThā thā maiñ hosh-o-havās apne jis ghaḌī
vo lamha mujh se aage baḌhāne se rah gayā
vo gul baTor le gayā tā'rīfeñ baaġh meñ
maiñ ḳhaar thā so zikr meñ aane se rah gayā
kānhā se itnī minnateñ karne ke baa'd bhī
ik shaḳhs ko gale se lagāne se rah gayā
had se ziyāda achchhe bane rahnā jahl thā
bas ye sabaq maiñ ḳhud ko sikhāne se rah gayā
main baat apne dil ki batane se rah gaya
manzil ke pas ho ke bhi pane se rah gaya
mahbub apna tha hi taghaful ka 'illati
so haal-e-dil bhi dhyan mein aane se rah gaya
kho baiTha tha main hosh-o-hawas apne jis ghaDi
wo lamha mujh se aage baDhane se rah gaya
wo gul baTor le gaya ta'rifen bagh mein
main KHar tha so zikr mein aane se rah gaya
kanha se itni minnaten karne ke ba'd bhi
ek shaKHs ko gale se lagane se rah gaya
had se ziyaada achchhe bane rahna jahl tha
bas ye sabaq main KHud ko sikhane se rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.