Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main baDhata ja raha tha is liye daftar ki baat

Arshad Aziz

main baDhata ja raha tha is liye daftar ki baat

Arshad Aziz

MORE BYArshad Aziz

    maiñ baḌhātā rahā thā is liye daftar baat

    biich chaurāhe meñ laa.ī rahī thī ghar baat

    ab to apnī guftugū hotī hai us se is tarah

    jaise ik mātaht se hotī hai ik afsar baat

    ālam-e-maujūd se bāhar nikal ke sochiye

    gumbad-e-be-dar bāteñ aur pas-e-manzar baat

    shā'irī ne baat kahne suhūlat mujhe

    varna maiñ bāhar na paatā kabhī andar baat

    shaah aur begam bāteñ ho chukī hoñ ḳhatm to

    kījiye hālāt ke maare hue joker baat

    ijtimā-e-ḳhās meñ us mujhe kahnā 'azīz'

    maiñ samajhtā huuñ ye hai mere liye honour baat

    main baDhata ja raha tha is liye daftar ki baat

    bich chaurahe mein lai ja rahi thi ghar ki baat

    ab to apni guftugu hoti hai us se is tarah

    jaise ek mataht se hoti hai ek afsar ki baat

    aalam-e-maujud se bahar nikal ke sochiye

    gumbad-e-be-dar ki baaten aur pas-e-manzar ki baat

    sha'iri ne baat kahne ki suhulat di mujhe

    warna main bahar na la pata kabhi andar ki baat

    shah aur begam ki baaten ho chuki hon KHatm to

    kijiye haalat ke mare hue joker ki baat

    ijtima-e-KHas mein us ka mujhe kahna 'aziz'

    main samajhta hun ye hai mere liye honour ki baat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now