Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main be-zaban hun use KHu hai sawal ki

Saleem Waqif

main be-zaban hun use KHu hai sawal ki

Saleem Waqif

MORE BYSaleem Waqif

    maiñ be-zabān huuñ use ḳhū hai savāl

    kaise nikal sake koī sūrat visāl

    kaise batā.ūñ maiñ ki vo kitnā hasīn hai

    aajiz haiñ vus.ateñ mire ḳhvāb-o-ḳhayāl

    itnā vo merī zaat se ġhāfil kabhī na thā

    shāyad ḳhabar na hogī use mere haal

    tirchhī ik nigāh bhī muusā na sah sakā

    phir kis meñ taab ho tire husn-o-jamāl

    maut-o-hayāt hai tirī an-ban falsafa

    tamsīl ye bhī hai tire Dhab terī chaal

    jab se khulī taġhayyur-e-āfāq girah

    tartīb khul ga.ī hai tirī chāl-Dhāl

    bil-farz do-jahāñ tirā sadqa utaar duuñ

    qīmat na de sakūñgā tire ek baal

    kab tak jiyūñ maiñ tere binā tere shahr meñ

    din ik sadī hotā hai raat ek saal

    ye aur baat kuchh bhī tavārud meñ aa paḌe

    tuf hai jo bhiik māñgūñ kisī se ḳhayāl

    'vāqif' us aadmī ke nasab meñ bigāḌ hai

    azmat jo bhuul baiThā mohammad aal

    main be-zaban hun use KHu hai sawal ki

    kaise nikal sake koi surat visal ki

    kaise bataun main ki wo kitna hasin hai

    aajiz hain wusaten mere KHwab-o-KHayal ki

    itna wo meri zat se ghafil kabhi na tha

    shayad KHabar na hogi use mere haal ki

    tirchhi si ek nigah bhi musa na sah saka

    phir kis mein tab ho tere husn-o-jamal ki

    maut-o-hayat hai teri an-ban ka falsafa

    tamsil ye bhi hai tere Dhab teri chaal ki

    jab se khuli taghayyur-e-afaq ki girah

    tartib khul gai hai teri chaal-Dhaal ki

    bil-farz do-jahan tera sadqa utar dun

    qimat na de sakunga tere ek baal ki

    kab tak jiyun main tere bina tere shahr mein

    din ek sadi ka hota hai raat ek sal ki

    ye aur baat kuchh bhi tawarud mein aa paDe

    tuf hai jo bhik mangun kisi se KHayal ki

    'waqif' us aadmi ke nasab mein bigaD hai

    azmat jo bhul baiTha mohammad ki aal ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now