Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main bhala kab kisi ke bas mein raha

Naveed Sarosh

main bhala kab kisi ke bas mein raha

Naveed Sarosh

MORE BYNaveed Sarosh

    maiñ bhalā kab kisī ke bas meñ rahā

    bāl-o-par the magar qafas meñ rahā

    chhoḌ kar ghar ko ḳhush kahāñ thā maiñ

    darmiyāñ sab ke pesh-o-pas meñ rahā

    zindagī galī meñ nau ghar the

    umr-bhar maiñ makān das meñ rahā

    ḳhāmiyāñ kis tarah chhupātā maiñ

    ā.inoñ jo dastaras meñ rahā

    merī qurbat se jo gurezāñ thā

    kyoñ vo mere nafas nafas meñ rahā

    phuul mahkeñge mere āñgan meñ

    is tavaqqo pe ḳhār-o-ḳhas meñ rahā

    main bhala kab kisi ke bas mein raha

    baal-o-par the magar qafas mein raha

    chhoD kar ghar ko KHush kahan tha main

    darmiyan sab ke pesh-o-pas mein raha

    zindagi ki gali mein nau ghar the

    umr-bhar main makan das mein raha

    KHamiyan kis tarah chhupata main

    aainon ki jo dastaras mein raha

    meri qurbat se jo gurezan tha

    kyon wo mere nafas nafas mein raha

    phul mahkenge mere aangan mein

    is tawaqqo pe KHar-o-KHas mein raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now