Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main bhi raushan hun jamal-e-ruKH-e-jaanan mein kahin

Ishrat Zafar

main bhi raushan hun jamal-e-ruKH-e-jaanan mein kahin

Ishrat Zafar

MORE BYIshrat Zafar

    maiñ bhī raushan huuñ jamāl-e-ruḳh-e-jānāñ meñ kahīñ

    ḳhaak parvāna bhī hai sho.ala-e-uryāñ meñ kahīñ

    kisī paikar meñ bhī pahchān nahīñ hai us

    kyā surāġh us mile dasht-o-gulistāñ meñ kahīñ

    hijr ke daaġh meñ tabdīl huā lamha-e-vasl

    thī kamī koī mire shauq-e-farāvāñ meñ kahīñ

    jal gayā baaġh magar sham-e-numū-ḳhez lau

    sabz hai har shajar-e-soḳhta-sāmāñ meñ kahīñ

    mujh ko sho.aloñ meñ bhī jiine sikhātā hai hunar

    ik samundar mire ātish-kada-e-jāñ meñ kahīñ

    apnī vahshat ġhubār uThte hue dekhtā huuñ

    maiñ bhī huuñ apne āhū-e-gurezāñ meñ kahīñ

    'ishrat' ik harf-e-bashārat thī vo āvāz-e-qadam

    ik charāġh aur jalā ḳhāna-e-imkāñ meñ kahīñ

    main bhi raushan hun jamal-e-ruKH-e-jaanan mein kahin

    KHak parwana bhi hai shoala-e-uryan mein kahin

    kisi paikar mein bhi pahchan nahin hai us ki

    kya suragh us ka mile dasht-o-gulistan mein kahin

    hijr ke dagh mein tabdil hua lamha-e-wasl

    thi kami koi mere shauq-e-farawan mein kahin

    jal gaya bagh magar sham-e-numu-KHez ki lau

    sabz hai har shajar-e-soKHta-saman mein kahin

    mujh ko shoalon mein bhi jine ka sikhata hai hunar

    ek samundar mere aatish-kada-e-jaan mein kahin

    apni wahshat ka ghubar uThte hue dekhta hun

    main bhi hun apne hi aahu-e-gurezan mein kahin

    'ishrat' ek harf-e-bashaarat thi wo aawaz-e-qadam

    ek charagh aur jala KHana-e-imkan mein kahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now