Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main chahta to yahi tha ki kuchh naya karun main

Yawar Husain

main chahta to yahi tha ki kuchh naya karun main

Yawar Husain

MORE BYYawar Husain

    maiñ chāhtā to yahī thā ki kuchh nayā karūñ maiñ

    magar ye ho na sakā us se mil ke kyā karūñ maiñ

    ye qarz mujh pe jo is zindagī ho gayā hai

    koī batā.e mujhe kis tarah adā karūñ maiñ

    ye ishq merī tabī.at ko sāzgār nahīñ

    ye log kahte haiñ ab kaam dūsrā karūñ maiñ

    maza tab aa.e safar meñ agar kuchh aisā ho

    vo mujh ko baḌh ke uThātā rahe girā karūñ maiñ

    ajab maqām pe laa.ī hai zindagī mujh ko

    sunūñ dimāġh dil ab sunā karūñ maiñ

    to kyā ye ḳhauf hai apnī shanāḳht kho dūñgā

    aa.ine se bhī har roz kyā milā karūñ maiñ

    Dhalak na jā.ūñ maiñ ik buuñd ban ke aañsū

    kisī aañkh meñ nashtar kyuuñ chubhā karūñ maiñ

    guzār Dālūñ maiñ ab raat chain se so kar

    na ḳhvāb dekhūñ na ab koī ratjagā karūñ maiñ

    to mere haq meñ yahī faisla huā hai abhī

    intizār abhī aur aap karūñ maiñ

    bas ik zarā ishāra udhar se ho to idhar

    darūn-e-zāt qayāmat koī bapā karūñ maiñ

    vo mujh ko oḌh le 'yāvar' kabhī qabā tarah

    vo mujh ko Dhāñp de us vaqt jab khilā karūñ maiñ

    main chahta to yahi tha ki kuchh naya karun main

    magar ye ho na saka us se mil ke kya karun main

    ye qarz mujh pe jo is zindagi ka ho gaya hai

    koi batae mujhe kis tarah ada karun main

    ye ishq meri tabiat ko sazgar nahin

    ye log kahte hain ab kaam dusra karun main

    maza tab aae safar mein agar kuchh aisa ho

    wo mujh ko baDh ke uThata rahe gira karun main

    ajab maqam pe lai hai zindagi mujh ko

    sunun dimagh ki ya dil ki ab suna karun main

    to kya ye KHauf hai apni shanaKHt kho dunga

    tu aaine se bhi har roz kya mila karun main

    Dhalak na jaun main ek bund ban ke aansu ki

    kisi ki aankh mein nashtar sa kyun chubha karun main

    guzar Dalun main ab raat chain se so kar

    na KHwab dekhun na ab koi ratjaga karun main

    to mere haq mein yahi faisla hua hai abhi

    tu intizar abhi aur aap ka karun main

    bas ek zara sa ishaara udhar se ho to idhar

    darun-e-zat qayamat koi bapa karun main

    wo mujh ko oDh le 'yawar' kabhi qaba ki tarah

    wo mujh ko Dhanp de us waqt jab khila karun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now