main chala hun DhunDhta manzilen mujhe aashna ki talash hai
main chala hun DhunDhta manzilen mujhe aashna ki talash hai
Krishn Soni Nisha
MORE BYKrishn Soni Nisha
maiñ chalā huuñ DhūñDhtā manzileñ mujhe āshnā kī talāsh hai
mirī is jabīn-e-niyāz ko tire naqsh-e-pā kī talāsh hai
vo fazā-e-ishq pe hai nazar jo vasī.a se ho vasī.a-tar
abhī intihā kā hai zikr kyā abhī ibtidā kī talāsh hai
jo nisār pā-e-hasīñ huā jo ġhubār ban ke bhī uḌ chukā
rah-e-be-ḳhudī meñ mujhe usī dil-e-mubtalā kī talāsh hai
sabhī rahmateñ jo sameT le jo huā na ho kisī aur se
mujhe us gunāh kī hai justujū mujhe us ḳhatā kī talāsh hai
maiñ hī sar-ba-sajda rahā karūñ maiñ tavāf-e-shauq kiyā karūñ
jo ḳhudā na ho kisī aur kā mujhe us ḳhudā kī talāsh hai
abhī mai-kade se haiñ nisbateñ abhī haiñ sukūn kī kāvisheñ
abhī ḳhaam hai mirā soz-e-ġham mujhe intihā kī talāsh hai
ye bajā ki husn ko naaz hai ye durust ishq ko faḳhr hai
jo sarāpā ḳhud ho jalā 'nishā' mujhe us vafā kī talāsh hai
main chala hun DhunDhta manzilen mujhe aashna ki talash hai
meri is jabin-e-niyaz ko tere naqsh-e-pa ki talash hai
wo faza-e-ishq pe hai nazar jo wasia se ho wasia-tar
abhi intiha ka hai zikr kya abhi ibtida ki talash hai
jo nisar pa-e-hasin hua jo ghubar ban ke bhi uD chuka
rah-e-be-KHudi mein mujhe usi dil-e-mubtala ki talash hai
sabhi rahmaten jo sameT le jo hua na ho kisi aur se
mujhe us gunah ki hai justuju mujhe us KHata ki talash hai
main hi sar-ba-sajda raha karun main tawaf-e-shauq kiya karun
jo KHuda na ho kisi aur ka mujhe us KHuda ki talash hai
abhi mai-kade se hain nisbaten abhi hain sukun ki kawishen
abhi KHam hai mera soz-e-gham mujhe intiha ki talash hai
ye baja ki husn ko naz hai ye durust ishq ko faKHr hai
jo sarapa KHud ho jala 'nisha' mujhe us wafa ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.