Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main charagh-e-shab-e-hasti hun ziya kya mangun

Badr Shamsi

main charagh-e-shab-e-hasti hun ziya kya mangun

Badr Shamsi

MORE BYBadr Shamsi

    maiñ charāġh-e-shab-e-hastī huuñ ziyā kyā māñgūñ

    zinda rahnā hai to chalne ke sivā kyā māñgūñ

    tohfa-e-chāk-e-garebāñ ke sivā kyā māñgūñ

    tujh se ai fasl-e-junūñ batā kyā māñgūñ

    maiñ ne chāhā hai tujhe apne irādoñ tarah

    aur maiñ apne irādoñ sila kyā māñgūñ

    phuul meñ nuur nahīñ chāñd meñ ḳhushbū nahīñ

    in nazāroñ se tirā husn-e-adā kyā māñgūñ

    kitne aañsū haiñ mire ġham ko sajāne ke liye

    aaj raat sitāroñ se ziyā kyā māñgūñ

    apne ḳhuun meñ Duubā huā paikar huuñ maiñ

    maiñ kisī aur se rangīn qabā kyā māñgūñ

    zaḳhm-e-ehsās lahū de to bahār aatī hai

    ġhuncha-e-dil ke liye mauj-e-sabā kyā māñgūñ

    merī qismat meñ to shāyad koī patthar bhī nahīñ

    vahshat-e-dil kisī se maiñ sila kyā māñgūñ

    dil har dāġh-e-tamannā hai charāġh-e-manzil

    'badr' maiñ chāñd-sitāroñ se ziyā kyā māñgūñ

    main charagh-e-shab-e-hasti hun ziya kya mangun

    zinda rahna hai to chalne ke siwa kya mangun

    tohfa-e-chaak-e-gareban ke siwa kya mangun

    tujh se ai fasl-e-junun tu hi bata kya mangun

    main ne chaha hai tujhe apne iradon ki tarah

    aur main apne iradon ka sila kya mangun

    phul mein nur nahin chand mein KHushbu hi nahin

    in nazaron se tera husn-e-ada kya mangun

    kitne aansu hain mere gham ko sajaane ke liye

    aaj ki raat sitaron se ziya kya mangun

    apne hi KHun mein Duba hua paikar hun main

    main kisi aur se rangin qaba kya mangun

    zaKHm-e-ehsas lahu de to bahaar aati hai

    ghuncha-e-dil ke liye mauj-e-saba kya mangun

    meri qismat mein to shayad koi patthar bhi nahin

    wahshat-e-dil ka kisi se main sila kya mangun

    dil ka har dagh-e-tamanna hai charagh-e-manzil

    'badr' main chand-sitaron se ziya kya mangun

    Source:

    Khwabon Ka Lahu (Pg. 101)

    • Author: Badr Shamsi
      • Publisher: Badr Shamsi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now