Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main dasht-e-shauq mein kab tak use pukara karun

Naveed Sarosh

main dasht-e-shauq mein kab tak use pukara karun

Naveed Sarosh

MORE BYNaveed Sarosh

    maiñ dasht-e-shauq meñ kab tak use pukārā karūñ

    vo merī hai nahīñ hai ab istiḳhāra karūñ

    kahā hai us ne ki maiñ agle saal ā.ūñgī

    hai mere dil meñ ki rozāna ghar sañvārā karūñ

    tamām log nazar bhar ke dekhte haiñ use

    to kyoñ na roz maiñ us nazar utārā karūñ

    jo ban ga.e haiñ mire vāste vabāl-e-jāñ

    maiñ sochtā huuñ ki un sab se ab kinārā karūñ

    'sarosh' soch rahā huuñ khaḌā kināre par

    maiñ saath chalne kaise use ishāra karūñ

    main dasht-e-shauq mein kab tak use pukara karun

    wo meri hai ya nahin hai ab istiKHara karun

    kaha hai us ne ki main agle sal aaungi

    hai mere dil mein ki rozana ghar sanwara karun

    tamam log nazar bhar ke dekhte hain use

    to kyon na roz main us ki nazar utara karun

    jo ban gae hain mere waste wabaal-e-jaan

    main sochta hun ki un sab se ab kinara karun

    'sarosh' soch raha hun khaDa kinare par

    main sath chalne ka kaise use ishaara karun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now