Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main ek pal ki tha KHushbu kidhar nikal aaya

Musavvir Sabzwari

main ek pal ki tha KHushbu kidhar nikal aaya

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    maiñ ek pal thā ḳhushbū kidhar nikal aayā

    chalā maiñ mujh ko havā safar nikal aayā

    na khīñchnī thī tumheñ sat.h-e-āb chādar

    kabhī ghaat meñ baiThā bhañvar nikal aayā

    barahnagī ko tamāshā bhī dardnāk milā

    badan ke rañg jab utre khañDar nikal aayā

    vo ek abr to bijlī se raat bhar laḌtā

    havā ke miyān se ḳhanjar magar nikal aayā

    sukūt-e-āb se Dar kar jo maarī chīḳh us ne

    to ik kaTā huā dariyā se sar nikal aayā

    shikast o reḳht ke hāthoñ ne kuchh diyā to sahī

    girā makān to guḌiyā ghar nikal aayā

    main ek pal ki tha KHushbu kidhar nikal aaya

    chala main mujh ko hawa ka safar nikal aaya

    na khinchni thi tumhein sath-e-ab ki chadar

    kabhi ka ghat mein baiTha bhanwar nikal aaya

    barahnagi ko tamasha bhi dardnak mila

    badan ke rang jab utre khanDar nikal aaya

    wo ek abr to bijli se raat bhar laDta

    hawa ke miyan se KHanjar magar nikal aaya

    sukut-e-ab se Dar kar jo mari chiKH us ne

    to ek kaTa hua dariya se sar nikal aaya

    shikast o reKHt ke hathon ne kuchh diya to sahi

    gira makan to guDiya ka ghar nikal aaya

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    main ek pal ki tha KHushbu kidhar nikal aaya Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now