Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main haalat kya kahun dard-e-nihan ki

Jaleel Qidwai

main haalat kya kahun dard-e-nihan ki

Jaleel Qidwai

MORE BYJaleel Qidwai

    maiñ hālat kyā kahūñ dard-e-nihāñ

    ayaañ ko kuchh nahīñ hājat bayāñ

    mirī sūrat se zāhir hai mirā haal

    zarūrat kyā mujhe sharh-o-bayāñ

    zabāñ qāsir hai arz-e-hāl-e-dil se

    zarūrat hai ise ik tarjumāñ

    samajhne par agar ho koī maa.il

    ḳhamoshī bhī hai ik sūrat bayāñ

    jafā kyā shikāyat ho ki ai dil

    jafā aadat hai mere mehrbāñ

    jo samjhe shukr ko bhī ik shikāyat

    shikāyat kyā ho aise bad-gumāñ

    nahīñ jis ko ḳhabar apnī bhī us ko

    ḳhabar kyā ho mire dard-e-nihāñ

    hasīnān-e-jahāñ dekhe haiñ maiñ ne

    haiñ sab nākām shakleñ us javāñ

    kiyā thā maiñ ne kab ulfat da.avā

    zarūrat kyā thī mere imtihāñ

    milī qaid-e-qafas ke baa'd koī

    ḳhabar mujh ko na mere āshiyāñ

    jazāk-allah 'jalīl' achchhī ġhazal hai

    bhalā kyā baat is husn-e-bayāñ

    main haalat kya kahun dard-e-nihan ki

    ayan ko kuchh nahin hajat bayan ki

    meri surat se zahir hai mera haal

    zarurat kya mujhe sharh-o-bayan ki

    zaban qasir hai arz-e-haal-e-dil se

    zarurat hai ise ek tarjuman ki

    samajhne par agar ho koi mail

    KHamoshi bhi hai ek surat bayan ki

    jafa ki kya shikayat ho ki ai dil

    jafa aadat hai mere mehrban ki

    jo samjhe shukr ko bhi ek shikayat

    shikayat kya ho aise bad-guman ki

    nahin jis ko KHabar apni bhi us ko

    KHabar kya ho mere dard-e-nihan ki

    hasinan-e-jahan dekhe hain main ne

    hain sab nakaam shaklen us jawan ki

    kiya tha main ne kab ulfat ka dawa

    zarurat kya thi mere imtihan ki

    mili qaid-e-qafas ke ba'd koi

    KHabar mujh ko na mere aashiyan ki

    jazak-allah 'jalil' achchhi ghazal hai

    bhala kya baat is husn-e-bayan ki

    Source:

    Nawa-e-Seena Taab (Pg. 62)

    • Author: Jaleel Qidwai
      • Publisher: Nazir Printing Press, Karachi
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now