main haar jaun use aur mujhe malal na ho
maiñ haar jā.ūñ use aur mujhe malāl na ho
mohabbatoñ meñ koī itnā ḳhasta-hāl na ho
har ek shai kī hai tartīb ġhair-mā'mūlī
qadam baḌhāte hue sochtā huuñ jaal na ho
ki siin vaav alif laam ab luġhat meñ nahīñ
vo chāhtā hai ki us se koī savāl na ho
ye baat haq hai agar 'ishq jāvedānī hai
to phir ye husn bhī kyoñ husn-e-lā-zavāl na ho
main haar jaun use aur mujhe malal na ho
mohabbaton mein koi itna KHasta-haal na ho
har ek shai ki hai tartib ghair-ma'muli
qadam baDhate hue sochta hun jal na ho
ki sin waw alif lam ab lughat mein nahin
wo chahta hai ki us se koi sawal na ho
ye baat haq hai agar 'ishq jawedani hai
to phir ye husn bhi kyon husn-e-la-zawal na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.