Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main har be-jaan harf-o-lafz ko goya banata hun

Anwar Jalalpuri

main har be-jaan harf-o-lafz ko goya banata hun

Anwar Jalalpuri

MORE BYAnwar Jalalpuri

    maiñ har be-jān harf-o-lafz ko goyā banātā huuñ

    ki apne fan se patthar ko bhī ā.īna banātā huuñ

    maiñ insāñ huuñ mirā rishta 'brāhīm' aur 'āzar' se

    kabhī mandir kalīsā aur kabhī ka.aba banātā huuñ

    mirī fitrat kisī bhī ta.āvun le nahīñ saktī

    imārat apne ġham-ḳhāne maiñ tanhā banātā huuñ

    na jaane kyuuñ adhūrī mujhe tasvīr jachtī hai

    maiñ kāġhaz haath meñ lekar faqat chehra banātā huuñ

    mirī ḳhvāhish koī ghar ḳhudā ma.alūm kab hogā

    abhī to zehn ke parde pe bas naqsha banātā huuñ

    maiñ apne saath rakhtā huuñ sadā aḳhlāq pāras

    isī patthar se miTTī chhū ke maiñ sonā banātā huuñ

    main har be-jaan harf-o-lafz ko goya banata hun

    ki apne fan se patthar ko bhi aaina banata hun

    main insan hun mera rishta 'brahim' aur 'azar' se

    kabhi mandir kalisa aur kabhi kaba banata hun

    meri fitrat kisi ka bhi taawun le nahin sakti

    imarat apne gham-KHane ki main tanha banata hun

    na jaane kyun adhuri hi mujhe taswir jachti hai

    main kaghaz hath mein lekar faqat chehra banata hun

    meri KHwahish ka koi ghar KHuda malum kab hoga

    abhi to zehn ke parde pe bas naqsha banata hun

    main apne sath rakhta hun sada aKHlaq ka paras

    isi patthar se miTTi chhu ke main sona banata hun

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Anwar Jalalpuri

    Anwar Jalalpuri

    RECITATIONS

    Anwar Jalalpuri

    Anwar Jalalpuri,

    Anwar Jalalpuri

    main har be-jaan harf-o-lafz ko goya banata hun Anwar Jalalpuri

    Source:

    khushboo ki rishtadari (Pg. 61)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now