main jab bhi harf ki hujjat tamam karne laga
maiñ jab bhī harf kī hujjat tamām karne lagā
sukūt peḌ meñ chhup kar kalām karne lagā
yahī to mujh se ġhalat ho gayā mohabbat meñ
banī na baat to maiñ ehtimām karne lagā
gurez karte hue us ke jī meñ kyā aa.ī
ki ek din vo mirā ehtirām karne lagā
yahāñ to qabreñ haiñ qabroñ ke sar nahīñ hote
tū apnī teġh kahāñ be-niyām karne lagā
main jab bhi harf ki hujjat tamam karne laga
sukut peD mein chhup kar kalam karne laga
yahi to mujh se ghalat ho gaya mohabbat mein
bani na baat to main ehtimam karne laga
gurez karte hue us ke ji mein kya aai
ki ek din wo mera ehtiram karne laga
yahan to qabren hain qabron ke sar nahin hote
tu apni tegh kahan be-niyam karne laga
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 113)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.