Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main jabha sa hun us dar-e-ali-maqam ka

Shola Aligarhi

main jabha sa hun us dar-e-ali-maqam ka

Shola Aligarhi

MORE BYShola Aligarhi

    maiñ jab.ha huuñ us dar-e-ālī-maqām

    kaaba jahāñ javāb na paa.e salām

    sikka ravāñ hai kis but-e-mahshar-ḳhirām

    naqsh-e-qadam nagīñ hai qayāmat ke naam

    kyā pās-e-ġhair-e-qasd hai gar qatl-e-ām

    ik murda duur rakh do masīhā ke naam

    ai rah-ravān-e-manzil-e-maqsūd marhabā

    chamkā kalas vo rauza-e-dārus-salām

    ḳhanjar sambhāliye pa-e-taslīm ḳham haiñ ham

    gardan javāb le ke uThegī salām

    ġhash kaisā maiñ to tarz-e-takallum pe mar gayā

    muusā ne kuchh bhī lutf na paayā kalām

    mujh se huā hai vāda-e-roz-e-jazā abhī

    dete ho kyā javāb adū ke payām

    ai 'shola' kah do bulbul-e-ḳhuld-e-barīñ se ab

    gul-dasta bāñdh le mere rañgīñ kalām

    main jabha sa hun us dar-e-ali-maqam ka

    kaba jahan jawab na pae salam ka

    sikka rawan hai kis but-e-mahshar-KHiram ka

    naqsh-e-qadam nagin hai qayamat ke nam ka

    kya pas-e-ghair-e-qasd hai gar qatl-e-am ka

    ek murda dur rakh do masiha ke nam ka

    ai rah-rawan-e-manzil-e-maqsud marhaba

    chamka kalas wo rauza-e-darus-salam ka

    KHanjar sambhaaliye pa-e-taslim KHam hain hum

    gardan jawab le ke uThegi salam ka

    ghash kaisa main to tarz-e-takallum pe mar gaya

    musa ne kuchh bhi lutf na paya kalam ka

    mujh se hua hai wada-e-roz-e-jaza abhi

    dete ho kya jawab adu ke payam ka

    ai 'shola' kah do bulbul-e-KHuld-e-barin se ab

    gul-dasta bandh le mere rangin kalam ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now