main jaise taise kar ke aa gaya ek aadh se aage
maiñ jaise taise kar ke aa gayā ik aadh se aage
nikal saktā nahīñ lekin tirī har yaad se aage
mirā bhī ḳhvāb hai duniyā tumhāre saath dekhūñ maiñ
qadam baḌhte nahīñ lekin murādābād se aage
mujhe to terī barbādī bhī barbādī nahīñ lagtī
ki maiñ ne vo bhī dekhā hai jo hai barbād se aage
jahāñ jā.ūñ mirā ġham saath jā.egā mire yūñhī
nikal paayā hai kyā koī kabhī aulād se aage
main jaise taise kar ke aa gaya ek aadh se aage
nikal sakta nahin lekin teri har yaad se aage
mera bhi KHwab hai duniya tumhaare sath dekhun main
qadam baDhte nahin lekin muradabaad se aage
mujhe to teri barbaadi bhi barbaadi nahin lagti
ki main ne wo bhi dekha hai jo hai barbaad se aage
jahan jaun mera gham sath jaega mere yunhi
nikal paya hai kya koi kabhi aulad se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.