main kho gaya hun kahan aashiyan banate hue
maiñ kho gayā huuñ kahāñ āshiyāñ banāte hue
zamīn bhuul gayā āsmāñ banāte hue
sitāra-vār chamaktā har ek zarra mirā
bikhar na jaa.e kahīñ kahkashāñ banāte hue
tumhāre naam pe maiñ jal-bujhā to ilm huā
ki suud bantā hai kaise ziyāñ banāte hue
mahāz par hī rahā huuñ lahū ke bujhne tak
qalam hue mire baazū kamāñ banāte hue
qadam kuchh aisā uThā āḳhirī qadam ki 'latīf'
maiñ do jahāñ se gayā ik jahāñ banāte hue
main kho gaya hun kahan aashiyan banate hue
zamin bhul gaya aasman banate hue
sitara-war chamakta har ek zarra mera
bikhar na jae kahin kahkashan banate hue
tumhaare nam pe main jal-bujha to ilm hua
ki sud banta hai kaise ziyan banate hue
mahaz par hi raha hun lahu ke bujhne tak
qalam hue mere bazu kaman banate hue
qadam kuchh aisa uTha aaKHiri qadam ki 'latif'
main do jahan se gaya ek jahan banate hue
- Book : Pakistani Adab (Pg. 293)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.