Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main KHud apna lahu pine laga hun

Tripurari

main KHud apna lahu pine laga hun

Tripurari

MORE BYTripurari

    maiñ ḳhud apnā lahū piine lagā huuñ

    kahāñ paanī kisī se māñgtā huuñ

    ye duniyā aag hai ik aag jis meñ

    maiñ ḳhud ko jhoñk denā chāhtā huuñ

    tirī ḳhāmoshiyoñ ke panchhiyoñ ko

    maiñ āvāzoñ ke daane bāñTtā huuñ

    akele-pan ke bīhaḌ jañgaloñ meñ

    tumhārā naam le kar chīḳhtā huuñ

    lahaktī aag ke tannūr meñ ab

    tumhārī yaad zinda jhoñktā huuñ

    maiñ apne-āp se nārāz huuñ ab

    so apne aap ko kam Toktā huuñ

    main KHud apna lahu pine laga hun

    kahan pani kisi se mangta hun

    ye duniya aag hai ek aag jis mein

    main KHud ko jhonk dena chahta hun

    teri KHamoshiyon ke panchhiyon ko

    main aawazon ke dane banTta hun

    akele-pan ke bihaD jangalon mein

    tumhaara nam le kar chiKHta hun

    lahakti aag ke tannur mein ab

    tumhaari yaad zinda jhonkta hun

    main apne-ap se naraaz hun ab

    so apne aap ko kam Tokta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now