Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main KHud ko har ek samt se gher kar

Manmohan Talkh

main KHud ko har ek samt se gher kar

Manmohan Talkh

MORE BYManmohan Talkh

    maiñ ḳhud ko har ik samt se gher kar

    khaḌā huuñ pare ḳhud se muñh pher kar

    na ḳhud se bhī milne jaldī machā

    mirī maan thoḌī bahut der kar

    maiñ apnā madd-e-muqābil huuñ ab

    kahūñ ḳhud se le ab mujhe zer kar

    kahoge magar kyā ki ḳhud ko to maiñ

    kahīñ se bhī le ā.ūñgā gher kar

    yūñhī kho diyā tujh ko bhī ḳhud ko bhī

    kabhī jaldī kar to kabhī der kar

    nahīñ saañs lene bhī 'talḳh' dam

    na sāñsoñ to jam.a ye Dher kar

    main KHud ko har ek samt se gher kar

    khaDa hun pare KHud se munh pher kar

    na KHud se bhi milne ki jaldi macha

    meri man thoDi bahut der kar

    main apna hi madd-e-muqabil hun ab

    kahun KHud se le ab mujhe zer kar

    kahoge magar kya ki KHud ko to main

    kahin se bhi le aaunga gher kar

    yunhi kho diya tujh ko bhi KHud ko bhi

    kabhi jaldi kar to kabhi der kar

    nahin sans lene ka bhi 'talKH' dam

    na sanson ka to jama ye Dher kar

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    main KHud ko har ek samt se gher kar Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now