Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main KHud saqi hun apna mere pahlu mein hai paimana

Ameen Hazin

main KHud saqi hun apna mere pahlu mein hai paimana

Ameen Hazin

MORE BYAmeen Hazin

    maiñ ḳhud saaqī huuñ apnā mere pahlū meñ hai paimāna

    vo paimāna ki ḳhud miinā bhī hai aur ḳhud mai-ḳhāna

    agar sham-e-haqīqat ziyā-bārī nahīñ har-sū

    taḳhayyul ko kahāñ se aa ga.e ādāb-e-parvāna

    par-e-parvāz baḳhshe mujh ko mere ishq-o-mastī ne

    haqīqat se jabhī dilchasp-tar hai merā afsāna

    maqām-e-haif-o-hairat hai ki us ko masal Daalā

    numū sidra apne siine meñ rakhtā thā jo daana

    vahī is bazm-e-hastī se surūr-andoz hote haiñ

    nigāheñ jin hoñ bebāk aur atvār mardāna

    mujhe ahl-e-nazar aañkh pahchān saktī hai

    ki sūrat to hai rindāna magar sīrat hakīmāna

    'amīñ' hai daad ke qābil vasī'-ul-mashrabī merī

    ki farzānoñ meñ farzāna huuñ dīvānoñ meñ dīvāna

    main KHud saqi hun apna mere pahlu mein hai paimana

    wo paimana ki KHud mina bhi hai aur KHud hi mai-KHana

    agar sham-e-haqiqat ki ziya-bari nahin har-su

    taKHayyul ko kahan se aa gae aadab-e-parwana

    par-e-parwaz baKHshe mujh ko mere ishq-o-masti ne

    haqiqat se jabhi dilchasp-tar hai mera afsana

    maqam-e-haif-o-hairat hai ki us ko hi masal Dala

    numu sidra ki apne sine mein rakhta tha jo dana

    wahi is bazm-e-hasti se surur-andoz hote hain

    nigahen jin ki hon bebak aur atwar mardana

    mujhe ahl-e-nazar ki aankh hi pahchan sakti hai

    ki surat to hai rindana magar sirat hakimana

    'amin' hai dad ke qabil wasi'-ul-mashrabi meri

    ki farzanon mein farzana hun diwanon mein diwana

    Source:

    Gulbaang-e-Hayat (Pg. 115)

    • Author: Ameen Hazin
      • Publisher: Urdu Academy, Lahore
      • Year of Publication: 1940
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now