main na pahuncha to ghar gae mere
maiñ na pahuñchā to ghar ga.e mere
raat ahbāb Dar ga.e mere
is se pahle ki jaam bhartā maiñ
yak-ba-yak zaḳhm bhar ga.e mere
raat maiñ us galī se kyā guzrā
jaise sab din guzar ga.e mere
maiñ kahāñ tak gayā nahīñ mā'lūm
duur tak bāl-o-par ga.e mere
un se ab haal kah ke dekhtā huuñ
she'r to be-asar ga.e mere
maiñ to apnī taraf gayā 'ġhā.er'
kis taraf ham-safar ga.e mere
main na pahuncha to ghar gae mere
raat ahbab Dar gae mere
is se pahle ki jam bharta main
yak-ba-yak zaKHm bhar gae mere
raat main us gali se kya guzra
jaise sab din guzar gae mere
main kahan tak gaya nahin ma'lum
dur tak baal-o-par gae mere
un se ab haal kah ke dekhta hun
she'r to be-asar gae mere
main to apni taraf gaya 'ghaer'
kis taraf ham-safar gae mere
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 30)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.