Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main nahin kahta ki har mushkil meri aasan ho

Rahib Maitreya

main nahin kahta ki har mushkil meri aasan ho

Rahib Maitreya

MORE BYRahib Maitreya

    maiñ nahīñ kahtā ki har mushkil mirī āsān ho

    rāstā hamvār hone koī imkān ho

    is numā.ish ke zamāna yahī dastūr hai

    kuchh na ho mazmūn meñ lekin nayā 'unvān ho

    raushnī āñkhoñ jaa.e ke mujh ko maut aa.e

    jo bhī honā ho vo terī diid ke daurān ho

    dard ho ārām ho zahr ho phir davā

    zindagī hamārī maut sāmān ho

    maiñ kisī bhī aadmī bad-du'ā letā nahīñ

    kaun jaane kab kahāñ kis shakl meñ bhagvān ho

    main nahin kahta ki har mushkil meri aasan ho

    rasta hamwar hone ka koi imkan ho

    is numaish ke zamana ka yahi dastur hai

    kuchh na ho mazmun mein lekin naya 'unwan ho

    raushni aankhon ki jae ya ke mujh ko maut aae

    jo bhi hona ho wo teri did ke dauran ho

    dard ho aaram ho ya zahr ho ya phir dawa

    zindagi ka ya hamari maut ka saman ho

    main kisi bhi aadmi ki bad-du'a leta nahin

    kaun jaane kab kahan kis shakl mein bhagwan ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now