Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main nahin kahti mujhe koi KHazana chahiye

Sapna Ehsas

main nahin kahti mujhe koi KHazana chahiye

Sapna Ehsas

MORE BYSapna Ehsas

    maiñ nahīñ kahtī mujhe koī ḳhazāna chāhiye

    iltijā itnī hai ulfat jāvedāna chāhiye

    aish-o-ishrat ke binā bhī kaam chal saktā hai

    chhat to sab ko chāhiye aur āb-o-dānā chāhiye

    ishq merā jis meñ mahke ai mire rabb-e-karīm

    mujh ko jannat se alag vo āshiyānā chāhiye

    is shikāyat ko mirī duur kar saktā hai kyā

    vaqt terā chāhiye aur vālihāna chāhiye

    rab ko paane jo hasrat hai to is ke vāste

    dil nazar aur be-niyāzī ārifāna chāhiye

    ham-safar māñgā thā maiñ ne ġham diye ne mujhe

    ab talab ye hai ke ġham ik zamāna chāhiye

    dil nazar kyā ruuh tak rang-e-tasavvuf chhā gayā

    ab ġhazal bhī mujh ko maulā sūfiyāna chāhiye

    hijr terā de degā maut ik din 'sapnā' ko

    zindagī jiine lekin ik bahāna chāhiye

    main nahin kahti mujhe koi KHazana chahiye

    iltija itni hai ulfat jawedana chahiye

    aish-o-ishrat ke bina bhi kaam chal sakta hai ji

    chhat to sab ko chahiye aur aab-o-dana chahiye

    ishq mera jis mein mahke ai mere rabb-e-karim

    mujh ko jannat se alag wo aashiyana chahiye

    is shikayat ko meri tu dur kar sakta hai kya

    waqt tera chahiye aur walihana chahiye

    rab ko pane ki jo hasrat hai to is ke waste

    dil nazar aur be-niyazi aarifana chahiye

    ham-safar manga tha main ne gham diye tu ne mujhe

    ab talab ye hai ke gham ka ek zamana chahiye

    dil nazar kya ruh tak rang-e-tasawwuf chha gaya

    ab ghazal bhi mujh ko maula sufiyana chahiye

    hijr tera de hi dega maut ek din 'sapna' ko

    zindagi jine ka lekin ek bahana chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now