Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine har ghaib ki aawaz pe bola aaya

Asif Meer Abis

maine har ghaib ki aawaz pe bola aaya

Asif Meer Abis

MORE BYAsif Meer Abis

    maiñ ne har ġhaib āvāz pe bolā aaya

    jab tirā naam sunā zehn meñ kyā kyā aaya

    maiñ to taptī huī us ret pe soyā aise

    phir mire paas meñ ik peḌ saaya aaya

    us tasvīr milī aise lipaT kar royā

    jaise ghar lauT ke das saal bhūlā aaya

    us mulāqāt ke baare meñ na pūchho logo

    dekho jaate hue hañstā gayā rotā aaya

    haqīqat meñ mire haath pe phir haath rakhe

    maiñ tujhe chhoḌ ke jā.ūñ kahūñ achchhā aaya

    haañ tasavvur meñ tasallī se vo āñkheñ dekhīñ

    baad muddat ke mire haath meñ kaasa aaya

    sach to ye hai ki mirī maut kāran vo hai

    vo jo tasvīr meñ merī jagah duujā aaya

    kyā batā.ūñ ki mohabbat ke safar meñ 'ābis'

    pahle kuchh phuul dikhe baad meñ sahrā aaya

    main ne har ghaib ki aawaz pe bola aaya

    jab tera nam suna zehn mein kya kya aaya

    main to tapti hui us ret pe soya aise

    phir mere pas mein ek peD ka saya aaya

    us ki taswir mili aise lipaT kar roya

    jaise ghar lauT ke das sal ka bhula aaya

    us mulaqat ke bare mein na puchho logo

    dekho jate hue hansta gaya rota aaya

    tu haqiqat mein mere hath pe phir hath rakhe

    main tujhe chhoD ke jaun kahun achchha aaya

    han tasawwur mein tasalli se wo aankhen dekhin

    baad muddat ke mere hath mein kasa aaya

    sach to ye hai ki meri maut ka karan wo hai

    wo jo taswir mein meri jagah duja aaya

    kya bataun ki mohabbat ke safar mein 'abis'

    pahle kuchh phul dikhe baad mein sahra aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now