Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine is shoabda-gar dil ko kahan chhoD diya

Maikash Akbarabadi

maine is shoabda-gar dil ko kahan chhoD diya

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    maiñ ne is sho.abda-gar dil ko kahāñ chhoḌ diyā

    aap ke madd-e-muqābil ko kahāñ chhoḌ diyā

    justujū hai to magar yaad nahīñ kis hai

    zauq-e-rahgīr ne manzil ko kahāñ chhoḌ diyā

    kah ga.iiñ kyā tirī nazreñ ki hai vīrān dil

    ke tūfān ne sāhil ko kahāñ chhoḌ diyā

    vo nazar terī jo mujh par na thī aur mujh par thī

    ne us ḳhalvat-e-mahfil ko kahāñ chhoḌ diyā

    jal ga.ī sham.a jo baaqī na rahe parvāne

    dil-jaloñ ne tirī mahfil ko kahāñ chhoḌ diyā

    yaañ na ummīd gulshan hai na vīrāna-e-yās

    be-ḳhudī ne mire dil ko kahāñ chhoḌ diyā

    main ne is shoabda-gar dil ko kahan chhoD diya

    aap ke madd-e-muqabil ko kahan chhoD diya

    justuju hai to magar yaad nahin kis ki hai

    zauq-e-rahgir ne manzil ko kahan chhoD diya

    kah gain kya teri nazren ki hai viran sa dil

    la ke tufan ne sahil ko kahan chhoD diya

    wo nazar teri jo mujh par na thi aur mujh par thi

    tu ne us KHalwat-e-mahfil ko kahan chhoD diya

    jal gai shama jo baqi na rahe parwane

    dil-jalon ne teri mahfil ko kahan chhoD diya

    yan na ummid ka gulshan hai na virana-e-yas

    be-KHudi tu ne mere dil ko kahan chhoD diya

    Source:

    (Pg. 9)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now