Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine jis shaKHs ki barson se taraf-dari ki

Khursheed Alig

maine jis shaKHs ki barson se taraf-dari ki

Khursheed Alig

MORE BYKhursheed Alig

    maiñ ne jis shaḳhs barsoñ se taraf-dārī

    us ne mere liye jañg tayyārī

    mere baare meñ vo tahqīq kiyā kartā hai

    mil ga.ī mujh ko sanad merī vafādārī

    jin se īmān tasvīr hai TukḌe TukḌe

    guftugū vo bhī kiyā karte haiñ ḳhuddārī

    chal diye jānib-e-manzil ko ba-hamrāh-e-junūñ

    ham ne to fikr na raah dushvārī

    bazm-e-yārāñ meñ jo ḳhāmosh rahā kartā thā

    aaj us shaḳhs ne lafzoñ sharar-bārī

    ishq meñ dil ko tasallī nahīñ milne vaalī

    phir mire saath mire nafs ne makkārī

    uTh gayā aaj naqāb us ke ruḳh-e-zebā se

    toḌ us ne vo zanjīr dildārī

    jis jahāñ meñ yuuñ adāvat chhurī chaltī ho

    kyā zarūrat vahāñ 'ḳhurshīd' ravādārī

    main ne jis shaKHs ki barson se taraf-dari ki

    us ne mere hi liye jang ki tayyari ki

    mere bare mein wo tahqiq kiya karta hai

    mil gai mujh ko sanad meri wafadari ki

    jin se iman ki taswir hai TukDe TukDe

    guftugu wo bhi kiya karte hain KHuddari ki

    chal diye jaanib-e-manzil ko ba-hamrah-e-junun

    hum ne to fikr na ki rah ki dushwari ki

    bazm-e-yaran mein jo KHamosh raha karta tha

    aaj us shaKHs ne lafzon ki sharar-bari ki

    ishq mein dil ko tasalli nahin milne wali

    phir mere sath mere nafs ne makkari ki

    uTh gaya aaj naqab us ke ruKH-e-zeba se

    toD di us ne wo zanjir hi dildari ki

    jis jahan mein yun adawat ki chhuri chalti ho

    kya zarurat wahan 'KHurshid' rawadari ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now