Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine kaha ke chand ki raushan misal do

Sameena Gul

maine kaha ke chand ki raushan misal do

Sameena Gul

MORE BYSameena Gul

    maiñ ne kahā ke chāñd raushan misāl do

    us ne kahā ke aañkh se chilman haTā ke dekh

    maiñ ne kahā ke raat ke āñchal meñ kaun thā

    us ne kahā ke zulf pe shabnam girā ke dekh

    maiñ ne kahā ke hijr shāḳhoñ pe phuul kyuuñ

    us ne kahā ke diid ḳhushbū milā ke dekh

    maiñ ne kahā ke ret ke pahlū meñ kyā chhupā

    kahne lage ke dhuup chādar bichhā ke dekh

    maiñ ne kahā ye mauj se dariyā kyā huā

    kahne lagī ke siip ke motī meñ aa ke dekh

    maiñ ne kahā ke diip ke dāman meñ kyā jalā

    us ne kahā ke aah ko dil meñ dabā ke dekh

    main ne kaha ke chand ki raushan misal do

    us ne kaha ke aankh se chilman haTa ke dekh

    main ne kaha ke raat ke aanchal mein kaun tha

    us ne kaha ke zulf pe shabnam gira ke dekh

    main ne kaha ke hijr ki shaKHon pe phul kyun

    us ne kaha ke did ki KHushbu mila ke dekh

    main ne kaha ke ret ke pahlu mein kya chhupa

    kahne lage ke dhup ki chadar bichha ke dekh

    main ne kaha ye mauj se dariya ka kya hua

    kahne lagi ke sip ke moti mein aa ke dekh

    main ne kaha ke dip ke daman mein kya jala

    us ne kaha ke aah ko dil mein daba ke dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now