maine khoya hai tujhe ya ki tujhe paya hai
maiñ ne khoyā hai tujhe yā ki tujhe paaya hai
tū hī āñkhoñ meñ basā hai ki tirā saaya hai
dil kī dhaḌkan meñ charāġhāñ kī sī kaifiyyat hai
raushnī ban ke koī dil meñ utar aayā hai
'ishq ābād kiyā hai to akelā nahīñ maiñ
ik charāġh-e-shab-e-hijrāñ mirā ham-sāya hai
ḳhvāb kā jashn manāne meñ luTāyā sab kuchh
aur ye kār-e-junūñ ruuh kā sarmāyā hai
main ne khoya hai tujhe ya ki tujhe paya hai
tu hi aankhon mein basa hai ki tera saya hai
dil ki dhaDkan mein charaghan ki si kaifiyyat hai
raushni ban ke koi dil mein utar aaya hai
'ishq aabaad kiya hai to akela nahin main
ek charagh-e-shab-e-hijran mera ham-saya hai
KHwab ka jashn manane mein luTaya sab kuchh
aur ye kar-e-junun ruh ka sarmaya hai
- Book : Ishq (Pg. 131)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.