Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine lakh dekhe sitam magar ye tera sitam to ajib hai

Maaz Aiz

maine lakh dekhe sitam magar ye tera sitam to ajib hai

Maaz Aiz

MORE BYMaaz Aiz

    maiñ ne laakh dekhe sitam magar ye tirā sitam to ajiib hai

    kabhī paas ho ke bhī duur hai kabhī duur ho ke qarīb hai

    maiñ bigaḌ gayā tirī ik nazar se vagarna mujh ko to dekh kar

    ye galī aurteñ boltīñ ise dekho kaisā najīb hai

    ho sāmne to bhī be-ḳhudī na ho sāmne to bhī dil jale

    mire kis gunah sazā ye ki tapīdgī nasīb hai

    tire sehr maiñ shikār ho ke tire qarīb jo aa gayā

    to pata chalā ye mujhe ki tujh se jo duur hai vo labīb hai

    ye duā bhī hai ki na vasl ho ye duā bhī hai ki na hijr ho

    mire marz-e-dil sabab hai mire dil tabīb hai

    kabhī be-ruḳh itnā ki ḳhaar ho kabhī multafit to nisār ho

    tirī ye adā bhī habīb hai tirī vo adā bhī habīb hai

    ye zamāna ahl-e-zamāna sab mujhe bhuul jaa.eñ gila nahīñ

    na bhūlnā ki 'ma.āz' bhī tire mai-kade raqīb hai

    main ne lakh dekhe sitam magar ye tera sitam to ajib hai

    kabhi pas ho ke bhi dur hai kabhi dur ho ke qarib hai

    main bigaD gaya teri ek nazar se wagarna mujh ko to dekh kar

    ye gali ki aurten boltin ise dekho kaisa najib hai

    tu ho samne to bhi be-KHudi na ho samne to bhi dil jale

    mere kis gunah ki saza ye di ki tapidgi hi nasib hai

    tere sehr ka main shikar ho ke tere qarib jo aa gaya

    to pata chala ye mujhe ki tujh se jo dur hai wo labib hai

    ye dua bhi hai ki na wasl ho ye dua bhi hai ki na hijr ho

    mere marz-e-dil ka sabab hai tu mere dil ka tu hi tabib hai

    kabhi be-ruKH itna ki KHar ho kabhi multafit to nisar ho

    teri ye ada bhi habib hai teri wo ada bhi habib hai

    ye zamana ahl-e-zamana sab mujhe bhul jaen gila nahin

    tu na bhulna ki 'maaz' bhi tere mai-kade ka raqib hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now