Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine roka bhi nahin aur wo Thahra bhi nahin

Aslam Ansari

maine roka bhi nahin aur wo Thahra bhi nahin

Aslam Ansari

MORE BYAslam Ansari

    maiñ ne rokā bhī nahīñ aur vo Thahrā bhī nahīñ

    hādisa kyā thā jise dil ne bhulāyā bhī nahīñ

    jaane vāloñ ko kahāñ rok sakā hai koī

    tum chale ho to koī rokne vaalā bhī nahīñ

    kaun moḌ hai kyuuñ paañv pakaḌtī hai zamīñ

    us bastī bhī nahīñ koī pukārā bhī nahīñ

    be-niyāzī se sabhī qarya-e-jāñ se guzre

    dekhtā koī nahīñ hai ki tamāshā bhī nahīñ

    vo to sadiyoñ safar kar ke yahāñ pahuñchā thā

    ne muñh pher ke jis shaḳhs ko dekhā bhī nahīñ

    kis ko nairañgī-e-ayyām sūrat dikhlā.eñ

    rañg uḌtā bhī nahīñ naqsh Thahartā bhī nahīñ

    hamīñ ko na milā us haqīqat surāġh

    sarā parda-e-ālam meñ koī thā bhī nahīñ

    main ne roka bhi nahin aur wo Thahra bhi nahin

    hadisa kya tha jise dil ne bhulaya bhi nahin

    jaane walon ko kahan rok saka hai koi

    tum chale ho to koi rokne wala bhi nahin

    kaun sa moD hai kyun panw pakaDti hai zamin

    us ki basti bhi nahin koi pukara bhi nahin

    be-niyazi se sabhi qarya-e-jaan se guzre

    dekhta koi nahin hai ki tamasha bhi nahin

    wo to sadiyon ka safar kar ke yahan pahuncha tha

    tu ne munh pher ke jis shaKHs ko dekha bhi nahin

    kis ko nairangi-e-ayyam ki surat dikhlaen

    rang uDta bhi nahin naqsh Thaharta bhi nahin

    ya hamin ko na mila us ki haqiqat ka suragh

    ya sara parda-e-alam mein koi tha bhi nahin

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Abbas

    Ghulam Abbas

    Source:

    Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 34)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now