maine tujhko tere andaz se pahchan liya
maiñ ne tujh ko tire andāz se pahchān liyā
jumbish-e-chashm-e-fusūñ-sāz se pahchān liyā
tujh ko bhī mujh se lagāvaT hai yaqīnan ai dost
iztirāb-e-nigah-e-nāz se pahchān liyā
aur taa.ir bhī to sargarm-e-safar the lekin
mujh ko sayyād ne parvāz se pahchān liyā
ye hijābāt-e-nazar kuchh bhī nahīñ hai ai dost
maiñ ne tujh ko tirī āvāz se pahchān liyā
main ne tujh ko tere andaz se pahchan liya
jumbish-e-chashm-e-fusun-saz se pahchan liya
tujh ko bhi mujh se lagawaT hai yaqinan ai dost
iztirab-e-nigah-e-naz se pahchan liya
aur tair bhi to sargarm-e-safar the lekin
mujh ko sayyaad ne parwaz se pahchan liya
ye hijabaat-e-nazar kuchh bhi nahin hai ai dost
main ne tujh ko teri aawaz se pahchan liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.