Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine usko barf dinon mein dekha tha

Hasan Rizvi

maine usko barf dinon mein dekha tha

Hasan Rizvi

MORE BYHasan Rizvi

    maiñ ne us ko barf dinoñ meñ dekhā thā

    us chehra sūraj jaisā lagtā thā

    yuuñ bhī nazreñ aapas meñ mil letī thiiñ

    vo bhī pahroñ chāñd ko taktā rahtā thā

    vo galiyāñ vo raste kitne achchhe the

    jab vo nañge paañv ghūmā kartā thā

    chāroñ-jānib us ḳhushbū bikhrī thī

    hijr ik mausam bhī us ke jaisā thā

    duur kahīñ āvāz ke ghuñghrū bajte the

    aur maiñ kaan lagā.e suntā rahtā thā

    sabz rutoñ meñ aksar mujh ko yaad aayā

    us ne ḳhat meñ sūkhā pattā bhejā thā

    main ne us ko barf dinon mein dekha tha

    us ka chehra suraj jaisa lagta tha

    yun bhi nazren aapas mein mil leti thin

    wo bhi pahron chand ko takta rahta tha

    wo galiyan wo raste kitne achchhe the

    jab wo nange panw ghuma karta tha

    chaaron-jaanib us ki KHushbu bikhri thi

    hijr ka ek mausam bhi us ke jaisa tha

    dur kahin aawaz ke ghunghru bajte the

    aur main kan lagae sunta rahta tha

    sabz ruton mein aksar mujh ko yaad aaya

    us ne KHat mein sukha patta bheja tha

    Source:

    Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 9)

    • Author: Hasan Rizvi
      • Edition: 2000
      • Publisher: Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now