maine virane ko gulzar bana rakkha hai
maiñ ne vīrāne ko gulzār banā rakkhā hai
kyā burā hai jo haqīqat ko chhupā rakkhā hai
daur-e-hāzir meñ koī kaash zamīñ se pūchhe
aaj insān kahāñ tū ne chhupā rakkhā hai
vo to ḳhud-ġharzī hai lālach hai havas hai jin kā
naam is daur ke insāñ ne vafā rakkhā hai
vo mire sahn meñ barsegā kabhī to khul kar
maiñ ne ḳhvāhish kā shajar kab se lagā rakkhā hai
maiñ to mushtāq huuñ āñdhī meñ bhī uḌne ke liye
maiñ ne ye shauq ajab dil ko lagā rakkhā hai
maiñ ki aurat huuñ mirī sharm hai merā zevar
bas taḳhallus isī baa.is to 'hayā' rakkhā hai
main ne virane ko gulzar bana rakkha hai
kya bura hai jo haqiqat ko chhupa rakkha hai
daur-e-hazir mein koi kash zamin se puchhe
aaj insan kahan tu ne chhupa rakkha hai
wo to KHud-gharzi hai lalach hai hawas hai jin ka
nam is daur ke insan ne wafa rakkha hai
wo mere sahn mein barsega kabhi to khul kar
main ne KHwahish ka shajar kab se laga rakkha hai
main to mushtaq hun aandhi mein bhi uDne ke liye
main ne ye shauq ajab dil ko laga rakkha hai
main ki aurat hun meri sharm hai mera zewar
bas taKHallus isi bais to 'haya' rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.