main pana chahta tha kuchh mila kuchh
maiñ paanā chāhtā thā kuchh milā kuchh
mirī qismat meñ hī thā dūsrā kuchh
isī ummīd par to jī rahe haiñ
hamāre biich bhī hogā nayā kuchh
miTā kar dil se apne sochtā huuñ
miTānā chāhtā thā kuchh miTā kuchh
parinde chhat pe baiThe sochte haiñ
hamāre sāmne se uḌ gayā kuchh
use nārāz kar ke aa rahā huuñ
maiñ kahnā chāhtā thā kuchh kahā kuchh
tirī maujūdgī ik mas.ala hai
na hotā tū to maiñ bhī DhūñDhtā kuchh
batāte to batāte tum mujhe kyā
agar maiñ pūchhtā to pūchhtā kuchh
main pana chahta tha kuchh mila kuchh
meri qismat mein hi tha dusra kuchh
isi ummid par to ji rahe hain
hamare bich bhi hoga naya kuchh
miTa kar dil se apne sochta hun
miTana chahta tha kuchh miTa kuchh
parinde chhat pe baiThe sochte hain
hamare samne se uD gaya kuchh
use naraaz kar ke aa raha hun
main kahna chahta tha kuchh kaha kuchh
teri maujudgi ek masala hai
na hota tu to main bhi DhunDhta kuchh
batate to batate tum mujhe kya
agar main puchhta to puchhta kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.