Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main pas-e-tark-e-mohabbat kisi mushkil mein nahin

Nooh Narvi

main pas-e-tark-e-mohabbat kisi mushkil mein nahin

Nooh Narvi

MORE BYNooh Narvi

    maiñ pas-e-tark-e-mohabbat kisī mushkil meñ nahīñ

    dil bhī pahlū meñ nahīñ dard bhī ab dil meñ nahīñ

    bul-havas chal diye sab jaan bachā kar apnī

    sirf qātil hai koī kūcha-e-qātil meñ nahīñ

    vaqt marne jo aa.egā to mar jā.ūñgā

    mere nazdīk ye mushkil koī mushkil meñ nahīñ

    Duub kar paar utarte haiñ utarne vaale

    qa.ar-e-dariyā maza dāman-e-sāhil meñ nahīñ

    bas vahī qahr-o-ġhazab bas vahī āzār-e-sitam

    lutf baat koī aap mahfil meñ nahīñ

    bhej kar ḳhat unheñ bulvā.eñ muhibbān-e-suḳhan

    kuchh bhī mahfil meñ nahīñ 'nūh' jo mahfil meñ nahīñ

    main pas-e-tark-e-mohabbat kisi mushkil mein nahin

    dil bhi pahlu mein nahin dard bhi ab dil mein nahin

    bul-hawas chal diye sab jaan bacha kar apni

    sirf qatil hai koi kucha-e-qatil mein nahin

    waqt marne ka jo aaega to mar jaunga

    mere nazdik ye mushkil koi mushkil mein nahin

    Dub kar par utarte hain utarne wale

    qar-e-dariya ka maza daman-e-sahil mein nahin

    bas wahi qahr-o-ghazab bas wahi aazar-e-sitam

    lutf ki baat koi aap ki mahfil mein nahin

    bhej kar KHat unhen bulwaen muhibban-e-suKHan

    kuchh bhi mahfil mein nahin 'nuh' jo mahfil mein nahin

    Source:

    Karwaan-e-Ghazal (Pg. 42)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2004
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now