Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main raha umr bhar yahin ka raha

Aamir Azher

main raha umr bhar yahin ka raha

Aamir Azher

MORE BYAamir Azher

    maiñ rahā umr bhar yahīñ rahā

    maiñ kināroñ pe bhī zamīñ rahā

    le gayā vaqt terā naqsh kahāñ

    jo kahīñ thā na phir kahīñ rahā

    mere āñgan meñ ik kalī na milī

    koī qissa na nāznīñ rahā

    thā ye tohfa agarche mere liye

    terā ḳhanjar to āstīñ rahā

    terā inkār ḳhāmoshī se huā

    bahut isrār phir nahīñ rahā

    vo jo Thahre kahīñ vahīñ na rahe

    merā 'āmir' kahāñ kahīñ rahā

    main raha umr bhar yahin ka raha

    main kinaron pe bhi zamin ka raha

    le gaya waqt tera naqsh kahan

    jo kahin tha na phir kahin ka raha

    mere aangan mein ek kali na mili

    koi qissa na naznin ka raha

    tha ye tohfa agarche mere liye

    tera KHanjar to aastin ka raha

    tera inkar KHamoshi se hua

    bahut israr phir nahin ka raha

    wo jo Thahre kahin wahin na rahe

    mera 'amir' kahan kahin ka raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now