Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main ratjagon ke mukammal azab dekhunga

Zaman Kanjahi

main ratjagon ke mukammal azab dekhunga

Zaman Kanjahi

MORE BYZaman Kanjahi

    maiñ ratjagoñ ke mukammal azaab dekhūñgā

    kisī ne jo nahīñ dekhe vo ḳhvāb dekhūñgā

    vo vaqt aa.egā merī hayāt meñ jab maiñ

    mohabbatoñ ke chaman meñ gulāb dekhūñgā

    ghirā huā huuñ añdheroñ meñ ġham nahīñ mujh ko

    shab-e-siyāh ke ba.ad āftāb dekhūñgā

    chaleñge tez bahut terī yaad ke jhoñke

    maiñ apnī aañkh meñ jab sail-e-āb dekhūñgā

    maiñ nuqta nuqta utar kar tirī nigāhoñ meñ

    varaq varaq tire dil kitāb dekhūñgā

    udāsiyoñ ke sivā kuchh nahīñ milegā mujhe

    'zamān' jab bhī mohabbat baab dekhūñgā

    main ratjagon ke mukammal azab dekhunga

    kisi ne jo nahin dekhe wo KHwab dekhunga

    wo waqt aaega meri hayat mein jab main

    mohabbaton ke chaman mein gulab dekhunga

    ghira hua hun andheron mein gham nahin mujh ko

    shab-e-siyah ke baad aaftab dekhunga

    chalenge tez bahut teri yaad ke jhonke

    main apni aankh mein jab sail-e-ab dekhunga

    main nuqta nuqta utar kar teri nigahon mein

    waraq waraq tere dil ki kitab dekhunga

    udasiyon ke siwa kuchh nahin milega mujhe

    'zaman' jab bhi mohabbat ka bab dekhunga

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 500)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now