Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main rifaton ki anokhi misal hone laga

Yawar Azeem

main rifaton ki anokhi misal hone laga

Yawar Azeem

MORE BYYawar Azeem

    maiñ rif'atoñ anokhī misāl hone lagā

    ye āsmāñ mire kāñdhoñ shaal hone lagā

    fazā.eñ gītoñ furqat meñ bāñjh hone lagīñ

    shajar gire to parindoñ kaal hone lagā

    ghaḌī ghaḌī na.ī bātoñ khoj hone lagī

    hamārā ahd mujassam-savāl hone lagā

    varā-e-jism jo kuchh fāsle the miTne lage

    dil is adā se sharīk-e-visāl hone lagā

    nazar ke chāroñ taraf ratjagoñ baaḌh lagī

    kisī se ḳhvāb meñ milnā muhāl hone lagā

    maiñ chāhtā thā ki duniyā ko tere jaisā lagūñ

    so tere qaul-o-'amal misāl hone lagā

    zamāne bhar ke dukhoñ se rihā.ī milne lagī

    tirī nazar koī yarġhamāl hone lagā

    ise hamārī koī bad-du'ā lage na lage

    ḳhud is nizām chalnā muhāl hone lagā

    jo ahl-e-harf the kam kam rah ga.e 'yāvar'

    hamāre shahr meñ qaht-ur-rijāl hone lagā

    main rif'aton ki anokhi misal hone laga

    ye aasman mere kandhon ki shaal hone laga

    fazaen giton ki furqat mein banjh hone lagin

    shajar gire to parindon ka kal hone laga

    ghaDi ghaDi nai baaton ki khoj hone lagi

    hamara ahd mujassam-sawal hone laga

    wara-e-jism jo kuchh fasle the miTne lage

    dil is ada se sharik-e-visal hone laga

    nazar ke chaaron taraf ratjagon ki baDh lagi

    kisi se KHwab mein milna muhaal hone laga

    main chahta tha ki duniya ko tere jaisa lagun

    so tere qaul-o-'amal ki misal hone laga

    zamane bhar ke dukhon se rihai milne lagi

    teri nazar ka koi yarghamal hone laga

    ise hamari koi bad-du'a lage na lage

    KHud is nizam ka chalna muhaal hone laga

    jo ahl-e-harf the kam kam hi rah gae 'yawar'

    hamare shahr mein qaht-ur-rijal hone laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now