Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main samjha jab jhalakta samne jam-e-sharab aaya

Riyaz Khairabadi

main samjha jab jhalakta samne jam-e-sharab aaya

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    maiñ samjhā jab jhalaktā sāmne jām-e-sharāb aayā

    mirā muñh chūmne shāyad mirā mast-e-shabāb aayā

    tire nāzuk se chehre par jahāñ rañg-e-itāb aayā

    sabāhat ruḳh bol uTThī ki ruḳh zer-e-naqāb aayā

    qayāmat uThtī rahtī hai yahāñ ye hai galī us

    kahāñ pāmāl hone dil-e-ḳhāna-ḳharāb aayā

    sar-e-turbat bhī ghoḌe par havā ke vo savār aa.e

    qayāmat ham-ināñ aa.ī na dushman ham-rikāb aayā

    hue hañgāma-hā-e-hashr kitne gosha-e-dil meñ

    vo mere sāmne kuchh is adā se be-naqāb aayā

    vo aa.e sair-e-dariyā ke liye to bujh ga.iiñ maujeñ

    qadam se un ke apnī aañkh malne har habāb aayā

    bahut bose liye haiñ maiñ ne un kāfir hasīnoñ ke

    mazā aa.egā mujh ko bhī agar roz-e-hisāb aayā

    takalluf bartaraf ai shaiḳh sohbat se ye aapas

    mire aage sharāb aa.ī tire aage kabāb aayā

    isī koshish meñ kaTtī hijr rāteñ huiiñ āḳhir

    na un ke gesuoñ mere dil meñ pech-o-tāb aayā

    ḳhayāl-e-yār ke sadqe ḳhayāl-e-yār hogā

    tasallī mujh ko dene koī vaqt-e-iztirāb aayā

    tirī nok qalam ne dil meñ gahre zaḳhm Daale haiñ

    hazāroñ dashna-o-nashtar liye ḳhat javāb aayā

    vo tasvīr aaj tak mahfūz hai chashm-e-tasavvur meñ

    tire bachpan se jab aTkheliyāñ kartā shabāb aayā

    nahīñ maujeñ haiñ ye sail-e-havādis ke tamāñche haiñ

    use khānā paḌī muñh ubhar kar jab habāb aayā

    barābar merī turbat ke kiyā hai dafn dushman ko

    ye achchhā mere hisse meñ jahannum azaab aayā

    kahīñ dāvat meñ kal ham aur vaa.iz paas baiThe the

    koī le kar sharāb aayā koī le kar kabāb aayā

    lahad par merī bhejā hai adū ko fātiha paḌhne

    jo pahuñchāne savāb aayā vahī ban kar azaab aayā

    jo aa.e bhī to ghoḌe par havā ke vo savār aa.e

    adū bhī saath saa.e tarah thāme rikāb aayā

    huā bint-e-inab se aqd is pīrāna-sālī meñ

    mubārak ho mujhe saaqī buḌhāpe meñ shabāb aayā

    nirāle haiñ yahī duniyā meñ tauba toḌne vaale

    udhar saaqī 'riyāz' aa.e idhar jām-e-sharāb aayā

    main samjha jab jhalakta samne jam-e-sharab aaya

    mera munh chumne shayad mera mast-e-shabab aaya

    tere nazuk se chehre par jahan rang-e-itab aaya

    sabahat ruKH ki bol uTThi ki ruKH zer-e-naqab aaya

    qayamat uThti rahti hai yahan ye hai gali us ki

    kahan pamal hone tu dil-e-KHana-KHarab aaya

    sar-e-turbat bhi ghoDe par hawa ke wo sawar aae

    qayamat ham-inan aai na dushman ham-rikab aaya

    hue hangama-ha-e-hashr kitne gosha-e-dil mein

    wo mere samne kuchh is ada se be-naqab aaya

    wo aae sair-e-dariya ke liye to bujh gain maujen

    qadam se un ke apni aankh malne har habab aaya

    bahut bose liye hain main ne un kafir hasinon ke

    maza aaega mujh ko bhi agar roz-e-hisab aaya

    takalluf bartaraf ai shaiKH sohbat se ye aapas ki

    mere aage sharab aai tere aage kabab aaya

    isi koshish mein kaTti hijr ki raaten huin aaKHir

    na un ke gesuon ka mere dil mein pech-o-tab aaya

    KHayal-e-yar ke sadqe KHayal-e-yar hi hoga

    tasalli mujh ko dene koi waqt-e-iztirab aaya

    teri nok qalam ne dil mein gahre zaKHm Dale hain

    hazaron dashna-o-nashtar liye KHat ka jawab aaya

    wo taswir aaj tak mahfuz hai chashm-e-tasawwur mein

    tere bachpan se jab aTkheliyan karta shabab aaya

    nahin maujen hain ye sail-e-hawadis ke tamanche hain

    use khana paDi munh ki ubhar kar jab habab aaya

    barabar meri turbat ke kiya hai dafn dushman ko

    ye achchha mere hisse mein jahannum ka azab aaya

    kahin dawat mein kal hum aur waiz pas baiThe the

    koi le kar sharab aaya koi le kar kabab aaya

    lahad par meri bheja hai adu ko fatiha paDhne

    jo pahunchane sawab aaya wahi ban kar azab aaya

    jo aae bhi to ghoDe par hawa ke wo sawar aae

    adu bhi sath sae ki tarah thame rikab aaya

    hua bint-e-inab se aqd is pirana-sali mein

    mubarak ho mujhe saqi buDhape mein shabab aaya

    nirale hain yahi duniya mein tauba toDne wale

    udhar saqi 'riyaz' aae idhar jam-e-sharab aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now