Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main sanglaKH zaminon ke raaz kahta hun

Raj Narayan Raaz

main sanglaKH zaminon ke raaz kahta hun

Raj Narayan Raaz

MORE BYRaj Narayan Raaz

    maiñ sañglāḳh zamīnoñ ke raaz kahtā huuñ

    maiñ giit ban ke chaTānoñ ke biich gūñjā huuñ

    tulū-e-sub.h manzar ajiib hai kitnā

    mirā ḳhayāl hai maiñ pahlī baar jaagā huuñ

    mirā vajūd ġhanīmat hai sochiye to sahī

    maiñ ḳhushk Daal pattā harā harā huuñ

    bajā ki roz añdherā mujhe nigaltā hai

    maiñ roz ik nayā ḳhurshīd ban ke uThtā huuñ

    kisī ne baat samjhī na haal pūchhā

    ajiib karb ke aalam meñ ghar se niklā huuñ

    maiñ jāntā huuñ ki hai irtiqā kyā sūrat

    maiñ aah ban ke uThā abr ban ke barsā huuñ

    ajiib baat hai har samt rāste haiñ ravāñ

    ajiib baat hai maiñ ghar raah bhūlā huuñ

    mujhe talāsh kareñge na.ī rutoñ meñ log

    maiñ gahrī dhund meñ lipTā huā jazīrā huuñ

    is ik savāl ne rakkhā hai muddatoñ hairāñ

    maiñ kis ruup huuñ maiñ 'rāz' kis chhāyā huuñ

    main sanglaKH zaminon ke raaz kahta hun

    main git ban ke chaTanon ke bich gunja hun

    tulu-e-subh ka manzar ajib hai kitna

    mera KHayal hai main pahli bar jaga hun

    mera wajud ghanimat hai sochiye to sahi

    main KHushk Dal ka patta hara hara sa hun

    baja ki roz andhera mujhe nigalta hai

    main roz ek naya KHurshid ban ke uThta hun

    kisi ne baat hi samjhi na haal hi puchha

    ajib karb ke aalam mein ghar se nikla hun

    main jaanta hun ki hai irtiqa ki kya surat

    main aah ban ke uTha abr ban ke barsa hun

    ajib baat hai har samt raste hain rawan

    ajib baat hai main ghar ki rah bhula hun

    mujhe talash karenge nai ruton mein log

    main gahri dhund mein lipTa hua jazira hun

    is ek sawal ne rakkha hai muddaton hairan

    main kis ka rup hun main 'raaz' kis ki chhaya hun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    main sanglaKH zaminon ke raaz kahta hun Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now