Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main sarapa mazhar-e-ism-e-KHuda wallah hun

Khwaja Mohammad Wazir

main sarapa mazhar-e-ism-e-KHuda wallah hun

Khwaja Mohammad Wazir

MORE BYKhwaja Mohammad Wazir

    maiñ sarāpā maz.har-e-ism-e-ḳhudā vallāh huuñ

    ham-safīro is chaman meñ murġh-e-bismillāh huuñ

    kis taraf jā.ūñ dikhā do mohamād rāh-e-haq

    yaañ har ik gumrāh kahtā hai maiñ ḳhizr-e-rāh huuñ

    ai masīhā terī zulfoñ darāzī dekh kar

    kahtī umr-e-ḳhizar maiñ gesū-e-kotāh huuñ

    āsmāñ par bhī siyah-baḳhtī meñ hai merā dimāġh

    ḳhāl-e-rū-e-mehr huuñ dāġh-e-jabīn-e-māh huuñ

    kah rahī hai āsmāñ se yaar ke ghar zamīñ

    tuur huuñ sahrā-e-aiman huuñ tajallī-gāh huuñ

    baiThnā kaisā idhar aayā udhar raahī huā

    din jo huuñ to muḳhtasar huuñ shab jo huuñ kotāh huuñ

    allāh allāh kyā hai in ke paañv Thokar lutf

    hai har ik but tamannā kaash sañg-e-rāh huuñ

    roz-e-mahshar se 'vazīr' afzūñ hai is kāfir tuul

    ab bhī kahtī hai shab-e-furqat bahut kotāh huuñ

    main sarapa mazhar-e-ism-e-KHuda wallah hun

    ham-safiro is chaman mein murgh-e-bismillah hun

    kis taraf jaun dikha do ya mohamad rah-e-haq

    yan har ek gumrah kahta hai main KHizr-e-rah hun

    ai masiha teri zulfon ki daraazi dekh kar

    kahti hi umr-e-KHizar main gesu-e-kotah hun

    aasman par bhi siyah-baKHti mein hai mera dimagh

    KHal-e-ru-e-mehr hun dagh-e-jabin-e-mah hun

    kah rahi hai aasman se yar ke ghar ki zamin

    tur hun sahra-e-aiman hun tajalli-gah hun

    baiThna kaisa idhar aaya udhar rahi hua

    din jo hun to muKHtasar hun shab jo hun kotah hun

    allah allah kya hai in ke panw ki Thokar ka lutf

    hai har ek but ki tamanna kash sang-e-rah hun

    roz-e-mahshar se 'wazir' afzun hai is kafir ka tul

    ab bhi kahti hai shab-e-furqat bahut kotah hun

    Source:

    Daftar-e-Fasahat (Pg. ebook-146 page-129)

    • Author: Khwaja Mohammad Wazir
      • Edition: 1847
      • Publisher: Matba Mustafai, Lucknow
      • Year of Publication: 1847
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now