main shah ka kabhi jo musahib nahin hua

Shahabuddin Saqib

main shah ka kabhi jo musahib nahin hua

Shahabuddin Saqib

MORE BYShahabuddin Saqib

  maiñ shaah kabhī jo musāhib nahīñ huā

  sajda bhī koī mujh pe to vājib nahīñ huā

  ham us bazm meñ to bahut der tak rahe

  lekin vo shaḳhs ham se muḳhātib nahīñ huā

  duniyā se be-niyāz rahe Thiik kiyā

  duniyā rang ham pe to ġhālib nahīñ huā

  lāzim hai ke shaah se sab log ye kaheñ

  jo kuchh yahāñ huā vo munāsib nahīñ huā

  in bastiyoñ pe us navāzish bahut huī

  lekin ye kaam hasb-e-marātib nahīñ huā

  main shah ka kabhi jo musahib nahin hua

  sajda bhi koi mujh pe to wajib nahin hua

  hum us ki bazm mein to bahut der tak rahe

  lekin wo shaKHs hum se muKHatib nahin hua

  duniya se be-niyaz rahe Thik hi kiya

  duniya ka rang hum pe to ghaalib nahin hua

  lazim hai ja ke shah se sab log ye kahen

  jo kuchh yahan hua wo munasib nahin hua

  in bastiyon pe us ki nawazish bahut hui

  lekin ye kaam hasb-e-maraatib nahin hua

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

  GET YOUR FREE PASS
  Speak Now